Friday, 18 September 2015

Mixed Shero shayari

Pilane Se Pehle Batado Zara Sa
Badi Tadaf Hoti Hai Pine Se Pehle
Nirali Aada Hai Mere Sakiya Ki
Girata Bahot Hai Uthane Se Pehle..

-----------------------------------------
In Nafrat Ki Divaro Ko Todega Kon
Agar Digaj Nahi Karenge To Pehl Karega Kon
Is Duniya Mein Bahot Raste Hai Chalne Ki Liye
Agar To Sach Ke Raste Na Chala to Tujhe Yaad Karega Kon
Har Azadi Se Pehle Marna Padta Hai
Agar To Marne Se Dar Gya To Tujhe Azad Karvavega Kon ...

------------------------------------------------------------------
Humne Socha Ke Hum Hi Chahte Hai Un Ko
Magar Unko Chahne Walo Ka Karva Nikla
Dil Ne Kaha Shikayat Kar Us Khuda Se
Magar Unke Chahne Walo Me Khuda Bhi Nikla--

--------------------------------------------------------------------------------
Zindgi ki Trishala abhi baki thi
Umeed ki chader ja chuki  thi
Zindgi ke safar me sab kuch dikha diya tha
Abhi sapno ki udan baki thi
Zindgi ke kasm kass me aysa fhasa ek parenda tha
Ab dekhi ki ek umed Jise le kr wo udd gaya
------------------------------------------------------

raah mein kaante ek do nahi hote
raah kaanton se bhari hoti hai
manzil us raah ke akhiri chor par khadi hoti hai
jahan har kadam par milti ek nayi chouti hai
dekh use jinke hounsle dagmagaate hain
ve manzil ko bhula kaanton mein ulajh jaate hain
jinki nigaah manzil par hoti hai
ve kaanton pe hi chalkar manzil ko paate hain